wo kuza-gar hai to phir chaak par chaDhae mujhe
vo kūza-gar hai to phir chaak par chaḌhā.e mujhe
dikhā.e apnā hunar mujh sā phir banā.e mujhe
hai 'ilm sab ko ki rakhnā hai hasratoñ pe lagām
hai karnā kaise magar koī to batā.e mujhe
vo jis meñ tum mujhe kahte ho aao baiTho paas
us ek ḳhvāb se kah do na roz aa.e mujhe
ḳhayāl bhī nahīñ lā saktī ḳhud-kushī kā maiñ
kisī bhī dar pe nahīñ jaanā bin bulā.e mujhe
qasam se phone mirā silent mode pe thā
na de bahāne vahī ab sune-sunā.e mujhe
lab us ke bārhā inkār kar rahe haiñ 'sifar'
nigāh us kī kahānī na.ī sunā.e mujhe
wo kuza-gar hai to phir chaak par chaDhae mujhe
dikhae apna hunar mujh sa phir banae mujhe
hai 'ilm sab ko ki rakhna hai hasraton pe lagam
hai karna kaise magar koi to batae mujhe
wo jis mein tum mujhe kahte ho aao baiTho pas
us ek KHwab se kah do na roz aae mujhe
KHayal bhi nahin la sakti KHud-kushi ka main
kisi bhi dar pe nahin jaana bin bulae mujhe
qasam se phone mera silent mode pe tha
na de bahane wahi ab sune-sunae mujhe
lab us ke barha inkar kar rahe hain 'sifar'
nigah us ki kahani nai sunae mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.