Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo kya bunega koi KHwab saltanat ke liye

Wasim Nadir

wo kya bunega koi KHwab saltanat ke liye

Wasim Nadir

MORE BYWasim Nadir

    vo kyā bunegā koī ḳhvāb saltanat ke liye

    taras rahā ho jo muddat se ek chhat ke liye

    lahū meñ Duube haiñ kāġhaz qalam davāt idhar

    taras rahe haiñ udhar log ḳhairiyat ke liye

    kisī ko sāzisheñ karne kyā zarūrat hai

    mirā mizāj hai merī muḳhālifat ke liye

    kisī buzurg sohbat meñ baiThnā uThnā

    bahut zarūrī hai ye achchhī tarbiyat ke liye

    ai zindagī ye sitam hai ki tere hote hue

    zamāna aane lagā merī tā'ziyat ke liye

    wo kya bunega koi KHwab saltanat ke liye

    taras raha ho jo muddat se ek chhat ke liye

    lahu mein Dube hain kaghaz qalam dawat idhar

    taras rahe hain udhar log KHairiyat ke liye

    kisi ko sazishen karne ki kya zarurat hai

    mera mizaj hai meri muKHalifat ke liye

    kisi buzurg ki sohbat mein baiThna uThna

    bahut zaruri hai ye achchhi tarbiyat ke liye

    ai zindagi ye sitam hai ki tere hote hue

    zamana aane laga meri ta'ziyat ke liye

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now