wo kya samjhe nazar jis ki faqat sud-o-ziyan tak hai
wo kya samjhe nazar jis ki faqat sud-o-ziyan tak hai
Ehsan Darbhangavi
MORE BYEhsan Darbhangavi
vo kyā samjhe nazar jis kī faqat sūd-o-ziyāñ tak hai
ki ye saudā mohabbat kā hisāb-e-dostāñ tak hai
mire naqd-o-nazar tak hai mire husn-e-bayāñ tak hai
tumhārī dāstāñ meñ rang merī dāstāñ tak hai
haram se bhī hai aage yā faqat kū-e-butāñ tak hai
ḳhudā jaane maqām-e-justujū-e-dil kahāñ tak hai
mohabbat in lavāzim par qanā.at kar nahīñ saktī
ki in sajdoñ kī manzil tere sang-e-āstāñ tak hai
diloñ kā muztarib jazba nazar kā munfa.il shikva
mirī hairat tirā ishva kināyoñ kī zabāñ tak hai
ye kis shiddat kī jumbish hai hijābāt-e-tajallī meñ
ki ik mailān-e-betābi zamīñ se āsmāñ tak hai
milegī raushnī 'ehsāñ' nazar kī gard to pochho
ki ye saarā añdherā bas ġhubār-e-kārvāñ tak hai
wo kya samjhe nazar jis ki faqat sud-o-ziyan tak hai
ki ye sauda mohabbat ka hisab-e-dostan tak hai
mere naqd-o-nazar tak hai mere husn-e-bayan tak hai
tumhaari dastan mein rang meri dastan tak hai
haram se bhi hai aage ya faqat ku-e-butan tak hai
KHuda jaane maqam-e-justuju-e-dil kahan tak hai
mohabbat in lawazim par qanaat kar nahin sakti
ki in sajdon ki manzil tere sang-e-astan tak hai
dilon ka muztarib jazba nazar ka munfail shikwa
meri hairat tera ishwa kinayon ki zaban tak hai
ye kis shiddat ki jumbish hai hijabaat-e-tajalli mein
ki ek mailan-e-betabi zamin se aasman tak hai
milegi raushni 'ehsan' nazar ki gard to pochho
ki ye sara andhera bas ghubar-e-karwan tak hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.