wo kyon maghmum-o-dil-bardashta hain
vo kyoñ maġhmūm-o-dil-bardashta haiñ
ye saare zaḳhm to ḳhud-sāḳhta haiñ
vo ham par mehrbāñ be-sāḳhta haiñ
magar ham haiñ ki dil-bardashta haiñ
mire kuchh ham-safar hamrāh mere
agar haiñ bā-dil-e-nā-ḳhvāsta haiñ
uThāte haiñ vo ham par uñgliyāñ ab
jo apne sāḳhta-pardāḳhta haiñ
kahāñ ab jaa.eñ nukta-chīñ hamāre
shikasta-dil hazīmat-yāfta haiñ
mire ash.ār dil meñ kyoñ na utreñ
ki barjasta qalam-bardāshta haiñ
tum apnī raah lo nāseh na uljho
hamārā kyā hai ham jāñ-bāḳhta haiñ
ināyat kam nahīñ ham par fazā kī
baḌī had tak to ham ḳhud-sāḳhta haiñ
yahī nākāmiyāñ haiñ apnī manzil
yahī dushvāriyāñ hī rāsta haiñ
jahāñ meñ qaht-e-sulh-o-āshtī hai
jidhar dekho safeñ ārāsta haiñ
irāde haiñ 'ġhanī' sāhib kidhar ke
bahut ārāsta pairāsta haiñ
wo kyon maghmum-o-dil-bardashta hain
ye sare zaKHm to KHud-saKHta hain
wo hum par mehrban be-saKHta hain
magar hum hain ki dil-bardashta hain
mere kuchh ham-safar hamrah mere
agar hain ba-dil-e-na-KHwasta hain
uThate hain wo hum par ungliyan ab
jo apne saKHta-pardaKHta hain
kahan ab jaen nukta-chin hamare
shikasta-dil hazimat-yafta hain
mere ashaar dil mein kyon na utren
ki barjasta qalam-bardashta hain
tum apni rah lo naseh na uljho
hamara kya hai hum jaan-baKHta hain
inayat kam nahin hum par faza ki
baDi had tak to hum KHud-saKHta hain
yahi nakaamiyan hain apni manzil
yahi dushwariyan hi rasta hain
jahan mein qaht-e-sulh-o-ashti hai
jidhar dekho safen aarasta hain
irade hain 'ghani' sahib kidhar ke
bahut aarasta pairasta hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.