Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo lab hi kya hain ki jin par teri baaten nahin hotin

Rizwan Ali Rizwan

wo lab hi kya hain ki jin par teri baaten nahin hotin

Rizwan Ali Rizwan

MORE BYRizwan Ali Rizwan

    vo lab kyā haiñ ki jin par tirī bāteñ nahīñ hotīñ

    vo dil kyā ki jis dil meñ tirī yādeñ nahīñ hotīñ

    ye takrār-e-mohabbat bhī mohabbat ke baa.is hai

    mohabbat darmiyāñ na ho to takrāreñ nahīñ hotīñ

    tumhārī yaad aate mirī āñkheñ barastī haiñ

    agar tum yaad na aao to barsāteñ nahīñ hotīñ

    huī haiñ jab se raushan dil meñ tere pyaar sham.eñ

    to mere dil duniyā meñ kabhī rāteñ nahīñ hotīñ

    na ho dariyā meñ gar paanī use dariyā nahīñ kahte

    na ho āñkhoñ meñ gar aañsū to vo āñkheñ nahīñ hotīñ

    har ik lamha tirī yādeñ mirī sāñsoñ meñ rahtīñ haiñ

    hoñ terī yaad se ġhāfil to vo sāñseñ nahīñ hotīñ

    shab-e-furqat ġhazal likh kar sitāroñ ko sunātā huuñ

    ki jab jab bhī tirī merī mulāqāteñ nahīñ hotīñ

    wo lab hi kya hain ki jin par teri baaten nahin hotin

    wo dil hi kya ki jis dil mein teri yaaden nahin hotin

    ye takrar-e-mohabbat bhi mohabbat hi ke bais hai

    mohabbat darmiyan na ho to takraren nahin hotin

    tumhaari yaad aate hi meri aankhen barasti hain

    agar tum yaad na aao to barsaten nahin hotin

    hui hain jab se raushan dil mein tere pyar ki shamen

    to mere dil ki duniya mein kabhi raaten nahin hotin

    na ho dariya mein gar pani use dariya nahin kahte

    na ho aankhon mein gar aansu to wo aankhen nahin hotin

    har ek lamha teri yaaden meri sanson mein rahtin hain

    hon teri yaad se ghafil to wo sansen nahin hotin

    shab-e-furqat ghazal likh kar sitaron ko sunata hun

    ki jab jab bhi teri meri mulaqaten nahin hotin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now