wo lab-kusha hon to goshe kai nikalte hain
vo lab-kushā hoñ to goshe ka.ī nikalte haiñ
isī charāġh se kitne charāġh jalte haiñ
maiñ jal rahā huuñ magar kaun is ko mānegā
mire vajūd se sho.ale kahāñ nikalte haiñ
kisī libās meñ ḳhud ko chhupā nahīñ paate
libās din meñ ka.ī baar jo badalte haiñ
ye ahl-e-ilm kā sheva kabhī rahā hī nahīñ
jo kuchh nahīñ haiñ vahī sar uThā ke chalte haiñ
ḳhatā muaaf hameñ aap hī se shikva hai
ki ham tabāh faqat aap hī ke chalte haiñ
bahut se log samajhte haiñ ḳhud-sarī is ko
ki ham hanūz isī shaan se nikalte haiñ
kabhī vo tiir nahīñ baiThte nishāne par
kashāñ kashāñ jo kamāñ se tirī nikalte haiñ
samajh ga.e the na pighle to TuuT jā.eñge
vagarna barf ke tuude kahīñ pighalte haiñ
qadam qadam pe vo phir Thokareñ nahīñ khāte
'shamīm' ek hī Thokar meñ jo sambhalte haiñ
wo lab-kusha hon to goshe kai nikalte hain
isi charagh se kitne charagh jalte hain
main jal raha hun magar kaun is ko manega
mere wajud se shoale kahan nikalte hain
kisi libas mein KHud ko chhupa nahin pate
libas din mein kai bar jo badalte hain
ye ahl-e-ilm ka shewa kabhi raha hi nahin
jo kuchh nahin hain wahi sar uTha ke chalte hain
KHata muaf hamein aap hi se shikwa hai
ki hum tabah faqat aap hi ke chalte hain
bahut se log samajhte hain KHud-sari is ko
ki hum hanuz isi shan se nikalte hain
kabhi wo tir nahin baiThte nishane par
kashan kashan jo kaman se teri nikalte hain
samajh gae the na pighle to TuT jaenge
wagarna barf ke tude kahin pighalte hain
qadam qadam pe wo phir Thokaren nahin khate
'shamim' ek hi Thokar mein jo sambhalte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.