wo lafz tir bana kar kaman bharta hai
vo lafz tiir banā kar kamān bhartā hai
jo kaan khīñchne vāloñ ke kaan bhartā hai
unhī kī aañkh meñ martā hai Duub kar dariyā
ki jin kī pyaas kā paanī jahān bhartā hai
maraz ilaaj se baḌhtā gayā to ham pe khulā
tabīb-e-ishq to apnī dukān bhartā hai
sitāre bante haiñ jab shaam toḌ de sūraj
yahīñ se jholī tirā āsmān bhartā hai
koī batā.e use haal taaki lauT aa.e
ki terā qarz tirā ḳhāndān bhartā hai
ḳhalā ugaltī hai sayyāre terī rāhoñ meñ
tū hausle se jo ḳhālī uḌaan bhartā hai
falak se kuchh bhī utartā nahīñ yūñhī 'shāhid'
zamīn-zād zamīñ kā lagān bhartā hai
wo lafz tir bana kar kaman bharta hai
jo kan khinchne walon ke kan bharta hai
unhi ki aankh mein marta hai Dub kar dariya
ki jin ki pyas ka pani jahan bharta hai
maraz ilaj se baDhta gaya to hum pe khula
tabib-e-ishq to apni dukan bharta hai
sitare bante hain jab sham toD de suraj
yahin se jholi tera aasman bharta hai
koi batae use haal taki lauT aae
ki tera qarz tera KHandan bharta hai
KHala ugalti hai sayyare teri rahon mein
tu hausle se jo KHali uDan bharta hai
falak se kuchh bhi utarta nahin yunhi 'shahid'
zamin-zad zamin ka lagan bharta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.