wo mahtab bhi KHushbu se bhar gaya hoga
vo māhtāb bhī ḳhushbū se bhar gayā hogā
jo chāñdnī ne tirī zulf ko chhuā hogā
tire laboñ se jo niklā thā ik tabassum sā
mire liye to vahī giit ban gayā hogā
likhā hai aaj tirā naam maiñ ne kāġhaz par
ye merā lafz bhī itrā ke chal rahā hogā
mirī palak pe hai ehsās jaise maḳhmal sā
tumhārā ḳhvāb use chhū ke chal diyā hogā
mujhe yaqīn hai tere hī surḳh gāloñ ne
dhanak ko shoḳh sā ye rañg de diyā hogā
jo dekhtā hai tirā husn roz chhup chhup kar
us aa.ine ko bhī to ishq ho gayā hogā
wo mahtab bhi KHushbu se bhar gaya hoga
jo chandni ne teri zulf ko chhua hoga
tere labon se jo nikla tha ek tabassum sa
mere liye to wahi git ban gaya hoga
likha hai aaj tera nam main ne kaghaz par
ye mera lafz bhi itra ke chal raha hoga
meri palak pe hai ehsas jaise maKHmal sa
tumhaara KHwab use chhu ke chal diya hoga
mujhe yaqin hai tere hi surKH galon ne
dhanak ko shoKH sa ye rang de diya hoga
jo dekhta hai tera husn roz chhup chhup kar
us aaine ko bhi to ishq ho gaya hoga
- Book : میں اردو بولوں(شعری مجموعہ) (Pg. 142)
- Author : اجئے سحاب
- Publication : اردو پریس کلب(یو۔پی۔سی) انٹر نیشنل پبلی کیشنز (2019)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.