Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo mad pyale lunDhate hi rahe bas

Harbans Lal Aneja 'jamaal'

wo mad pyale lunDhate hi rahe bas

Harbans Lal Aneja 'jamaal'

MORE BYHarbans Lal Aneja 'jamaal'

    vo mad pyāle luñDhāte rahe bas

    hameñ be-ḳhud banāte rahe bas

    ujāloñ se añdherā chhaT na paayā

    ujāle jagmagāte rahe bas

    na saath ab tak kisī de sake aah

    ye rahbar rah dikhāte rahe bas

    kisī tīra-muqaddar ke na kaam aa.e

    sitāre jhilmilāte rahe bas

    na kar paa.e tuyūr-e-shauq parvāz

    paroñ ko phaḌ.phaḌāte rahe bas

    vo kāshānoñ ko ḳhaak ābād karte

    jo kāshāne miTāte rahe bas

    'jamāl' aisā muqaddar ne kiyā ġharq

    tadabbur tilmilāte rahe bas

    wo mad pyale lunDhate hi rahe bas

    hamein be-KHud banate hi rahe bas

    ujalon se andhera chhaT na paya

    ujale jagmagate hi rahe bas

    na sath ab tak kisi ka de sake aah

    ye rahbar rah dikhate hi rahe bas

    kisi tira-muqaddar ke na kaam aae

    sitare jhilmilate hi rahe bas

    na kar pae tuyur-e-shauq parwaz

    paron ko phaDphaDate hi rahe bas

    wo kashanon ko KHak aabaad karte

    jo kashane miTate hi rahe bas

    'jamal' aisa muqaddar ne kiya gharq

    tadabbur tilmilate hi rahe bas

    Source :
    • Book : SAAZ-O-NAVA (Pg. 117)
    • Publication : Raghu Nath suhai ummid
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now