wo makin hain na wo makan baqi
vo makīñ haiñ na vo makāñ baaqī
ik ta.assub hai darmiyāñ baaqī
dushman-e-jāñ agar zamīñ par hai
maiñ bhī huuñ zer-e-āsmāñ baaqī
reg-e-sahrā pe DhūñDte kyā ho
ab kahāñ hai koī nishāñ baaqī
aur baaqī hai zindagī kitnī
aur kitne haiñ imtihāñ baaqī
apnī hastī ne saath chhoḌ diyā
rah ga.ī ek dāstāñ baaqī
kitnī masrūf ho ga.ī duniyā
fursat-e-ishq hai kahāñ baaqī
wo makin hain na wo makan baqi
ek tassub hai darmiyan baqi
dushman-e-jaan agar zamin par hai
main bhi hun zer-e-asman baqi
reg-e-sahra pe DhunDte kya ho
ab kahan hai koi nishan baqi
aur baqi hai zindagi kitni
aur kitne hain imtihan baqi
apni hasti ne sath chhoD diya
rah gai ek dastan baqi
kitni masruf ho gai duniya
fursat-e-ishq hai kahan baqi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.