wo masarrat ke saeban mein the
vo masarrat ke sā.ebān meñ the
aur ham dhuup ke makān meñ the
ab kahīñ bhī amaañ nahīñ miltī
ab se pahle hī ham amaan meñ the
pyaas vo thī ki hoñT suukh ga.e
ḳhushk kāñTe mirī zabān meñ the
ai mire dil kahāñ ga.e vo log
jo abhī apne darmiyān meñ the
phuul jhaḌte the baat karte meñ
vo parī-chehra is jahān meñ the
maiñ tumheñ DhūñDne kahāñ jaatā
tum mirī jaan merī jaan meñ the
zindagī aish se guzartī thī
aap jab tak mire gumān meñ the
wo masarrat ke saeban mein the
aur hum dhup ke makan mein the
ab kahin bhi aman nahin milti
ab se pahle hi hum aman mein the
pyas wo thi ki honT sukh gae
KHushk kanTe meri zaban mein the
ai mere dil kahan gae wo log
jo abhi apne darmiyan mein the
phul jhaDte the baat karte mein
wo pari-chehra is jahan mein the
main tumhein DhunDne kahan jata
tum meri jaan meri jaan mein the
zindagi aish se guzarti thi
aap jab tak mere guman mein the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.