wo mayassar bhi nahin aur kabhi hoga bhi nahin
vo mayassar bhī nahīñ aur kabhī hogā bhī nahīñ
ham use DhūñDne nikle jise dekhā bhī nahīñ
ab ke tajdīd-e-mulāqāt ke armāñ bhī nahīñ
dil meñ ab vo bhī nahīñ us kī tamanna bhī nahīñ
us kī āñkhoñ pe ham ilzām-e-vafā kyā rakhte
us ne to aañkh uThā kar hameñ dekhā bhī nahīñ
tishnagī had se sivā hai mirī par kyā kījiye
har taraf dasht paḌā hai koī dariyā bhī nahīñ
lag rahā thā ki bichhaḌne pe nā mar jaa.e magar
vo bhī zinda haiñ burā haal hamārā bhī nahīñ
wo mayassar bhi nahin aur kabhi hoga bhi nahin
hum use DhunDne nikle jise dekha bhi nahin
ab ke tajdid-e-mulaqat ke arman bhi nahin
dil mein ab wo bhi nahin us ki tamanna bhi nahin
us ki aankhon pe hum ilzam-e-wafa kya rakhte
us ne to aankh uTha kar hamein dekha bhi nahin
tishnagi had se siwa hai meri par kya kijiye
har taraf dasht paDa hai koi dariya bhi nahin
lag raha tha ki bichhaDne pe na mar jae magar
wo bhi zinda hain bura haal hamara bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.