wo mera tha magar ek ajnabi bhi
wo mera tha magar ek ajnabi bhi
Surayya Sultana Naseem Niyazi
MORE BYSurayya Sultana Naseem Niyazi
vo merā thā magar ek ajnabī bhī
thā sab kuchh paas mere aur kamī bhī
ajab andāz thā mere junūñ kā
ḳhirad ke saath thī dīvāngī bhī
ham apne shahr meñ is tarah aa.e
na pahchānī ga.ī koī galī bhī
ye kyā hālat huī gulshan kī āḳhir
gul-o-bulbul nahīñ koī kalī bhī
tumhārā āstāna kyā milā hai
milī hai bandagī aur zindagī bhī
añdheroñ meñ ġhamoñ ke raushnī bhī
tasavvur se tire ik be-ḳhudī bhī
milā apnā pata us ko jo DhūñDā
zarā sī kaam aa.ī āgahī bhī
'nasīm' aisā huā dil muztarib kuchh
na bhaa.ī mujh ko phūloñ kī hañsī bhī
wo mera tha magar ek ajnabi bhi
tha sab kuchh pas mere aur kami bhi
ajab andaz tha mere junun ka
KHirad ke sath thi diwangi bhi
hum apne shahr mein is tarah aae
na pahchani gai koi gali bhi
ye kya haalat hui gulshan ki aaKHir
gul-o-bulbul nahin koi kali bhi
tumhaara aastana kya mila hai
mili hai bandagi aur zindagi bhi
andheron mein ghamon ke raushni bhi
tasawwur se tere ek be-KHudi bhi
mila apna pata us ko jo DhunDa
zara si kaam aai aagahi bhi
'nasim' aisa hua dil muztarib kuchh
na bhai mujh ko phulon ki hansi bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.