wo mere bare mein jo kuchh bata raha tha mujhe
vo mere baare meñ jo kuchh batā rahā thā mujhe
ġhalat thā phir bhī yaqīn us pe aa rahā thā mujhe
tañg aa ke us ne mujhe TuuTā phūTā chhoḌ diyā
ba-sad-ḳhulūs kabhī jo banā rahā thā mujhe
amīr-e-shahr ne masnad kī peshkash kī thī
shikārī jaal meñ apne phañsā rahā thā mujhe
phir us ke baa'd bahut ghus ke phaT gayā kāġhaz
ragaḌ ragaḌ ke rubber vo miTā rahā thā mujhe
maiñ ḳhush nahīñ thā magar ḳhush dikhā.ī detā thā
koī latīfe sunā kar hañsā rahā thā mujhe
na jaane kyoñ maiñ use bhūlne kī zid par thā
na jaane kyoñ vo bahut yaad aa rahā thā mujhe
mire raqīb se vo mahv-e-guftugū thā 'kamāl'
vo us kā dost nahīñ thā satā rahā thā mujhe
wo mere bare mein jo kuchh bata raha tha mujhe
ghalat tha phir bhi yaqin us pe aa raha tha mujhe
tang aa ke us ne mujhe TuTa phuTa chhoD diya
ba-sad-KHulus kabhi jo bana raha tha mujhe
amir-e-shahr ne masnad ki peshkash ki thi
shikari jal mein apne phansa raha tha mujhe
phir us ke ba'd bahut ghus ke phaT gaya kaghaz
ragaD ragaD ke rubber wo miTa raha tha mujhe
main KHush nahin tha magar KHush dikhai deta tha
koi latife suna kar hansa raha tha mujhe
na jaane kyon main use bhulne ki zid par tha
na jaane kyon wo bahut yaad aa raha tha mujhe
mere raqib se wo mahw-e-guftugu tha 'kamal'
wo us ka dost nahin tha sata raha tha mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.