wo mere sath chala sar se dhup Dhalne tak
vo mere saath chalā sar se dhuup Dhalne tak
havā bhī dost rahī bas charāġh jalne tak
kise ḳhabar thī ki sūraj ko shaam Das legī
hamāre barf se dil meñ lahū pighalne tak
jalā jab apnā hī ghar apne sāmne to khulā
hamārī koshisheñ saarī haiñ haath malne tak
batā mujhe mire hamdam tū sochtā kyā hai
maiñ bā-vafā huuñ faqat ruḳh tirā badalne tak
jahān-e-vaqt kī rau meñ the sañg kī sūrat
qadam qadam pe lagīñ Thokareñ sambhalne tak
sadā-e-tīrgī 'sattār' sun rahā huuñ maiñ
mirā charāġh hai raushan lahū ke jalne tak
wo mere sath chala sar se dhup Dhalne tak
hawa bhi dost rahi bas charagh jalne tak
kise KHabar thi ki suraj ko sham Das legi
hamare barf se dil mein lahu pighalne tak
jala jab apna hi ghar apne samne to khula
hamari koshishen sari hain hath malne tak
bata mujhe mere hamdam tu sochta kya hai
main ba-wafa hun faqat ruKH tera badalne tak
jahan-e-waqt ki rau mein the sang ki surat
qadam qadam pe lagin Thokaren sambhalne tak
sada-e-tirgi 'sattar' sun raha hun main
mera charagh hai raushan lahu ke jalne tak
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 285)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.