wo mere shisha-e-dil par KHarash chhoD gaya
vo mere shīsha-e-dil par ḳharāsh chhoḌ gayā
dayār-e-rūh meñ ik irti'āsh chhoḌ gayā
qadam qadam pe huā jab munāfiqat kā shikār
to apne shahr kī vo būd-o-bāsh chhoḌ gayā
vahāñ se manzil-e-irfān-e-zāt duur na thī
vo jis maqām pe us kī talāsh chhoḌ gayā
vo shaḳhs aap hī qātil thā aap hī maqtūl
jahāñ jahāñ bhī gayā apnī laash chhoḌ gayā
kamāl darja thā us meñ shu.ūr-e-tīsha-garī
mire vujūd ko vo paash paash chhoḌ gayā
thā us ke dast-e-hunar meñ bhī āzarī kā kamāl
magar vo apnā hī but nā-tarāsh chhoḌ gayā
wo mere shisha-e-dil par KHarash chhoD gaya
dayar-e-ruh mein ek irti'ash chhoD gaya
qadam qadam pe hua jab munafiqat ka shikar
to apne shahr ki wo bud-o-bash chhoD gaya
wahan se manzil-e-irfan-e-zat dur na thi
wo jis maqam pe us ki talash chhoD gaya
wo shaKHs aap hi qatil tha aap hi maqtul
jahan jahan bhi gaya apni lash chhoD gaya
kamal darja tha us mein shuur-e-tisha-gari
mere wujud ko wo pash pash chhoD gaya
tha us ke dast-e-hunar mein bhi aazari ka kamal
magar wo apna hi but na-tarash chhoD gaya
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 305)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2013-14)
- Edition : 2013-14
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.