wo mere zehn pe itna sawar ho gaya tha
vo mere zehn pe itnā savār ho gayā thā
maiñ kam-sinī meñ junūñ kā shikār ho gayā thā
karegā kaun tirī vus.atoñ kā andāza
jo ham-kanār huā be-kanār ho gayā thā
tamām umr phir apnī talāsh meñ guzrī
maiñ apne aap se ik din farār ho gayā thā
mujhe gañvā ke liyā dil ne sūjh-būjh se kaam
fuzūl-ḳharch kifāyat-shi.ār ho gayā thā
bhaTak rahā thā koī sar-phirī havāoñ meñ
phir is ke ba.ad supurd-e-ġhubār ho gayā thā
milī thī maañ kī ġhulāmī se ye sar-afrāzī
ki bādshāhoñ meñ merā shumār ho gayā thā
mujhe bhī achchhe bure kī shanāḳht ho ga.ī thī
'nasīm' jin dinoñ be-rozgār ho gayā thā
wo mere zehn pe itna sawar ho gaya tha
main kam-sini mein junun ka shikar ho gaya tha
karega kaun teri wusaton ka andaza
jo ham-kanar hua be-kanar ho gaya tha
tamam umr phir apni talash mein guzri
main apne aap se ek din farar ho gaya tha
mujhe ganwa ke liya dil ne sujh-bujh se kaam
fuzul-KHarch kifayat-shiar ho gaya tha
bhaTak raha tha koi sar-phiri hawaon mein
phir is ke baad supurd-e-ghubar ho gaya tha
mili thi man ki ghulami se ye sar-afraazi
ki baadshahon mein mera shumar ho gaya tha
mujhe bhi achchhe bure ki shanaKHt ho gai thi
'nasim' jin dinon be-rozgar ho gaya tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.