wo meri soch mein sanso mein meri baaton mein
vo merī soch meñ sāñso meñ merī bātoñ meñ
vo ek vaqt meñ pahuñchā ka.ī barātoñ meñ
kisī badan meñ ka.ī bulb ho ga.e raushan
baḌī ajiib sī bijlī thī mere hāthoñ meñ
ai january tū kisī se ye baat mat kahnā
koī milā thā december kī sard rātoñ meñ
girī thī os mire dil ke jalte patte par
mohabbatoñ kī vo ThanDak thī us kī bātoñ meñ
safed saaḌī meñ dekhā thā maiñ ne chāñd koī
usī ko DhūñDhtā rahtā huuñ kaalī rātoñ meñ
wo meri soch mein sanso mein meri baaton mein
wo ek waqt mein pahuncha kai baraaton mein
kisi badan mein kai bulb ho gae raushan
baDi ajib si bijli thi mere hathon mein
ai january tu kisi se ye baat mat kahna
koi mila tha december ki sard raaton mein
giri thi os mere dil ke jalte patte par
mohabbaton ki wo ThanDak thi us ki baaton mein
safed saDi mein dekha tha main ne chand koi
usi ko DhunDhta rahta hun kali raaton mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.