wo mila to husn ke wo sare paikar mil gae
vo milā to husn ke vo saare paikar mil ga.e
merī khoī zindagī ke saare manzar mil ga.e
'umr bhar karte rahe ham log paanī kī talāsh
zindagī kī ret par sūkhe samundar mil ga.e
ai akaḌ kar chalne vaale bas tū itnā soch le
is zamīñ kī ḳhaak meñ kitne sikandar mil ga.e
vaqt ko phūloñ ke jaise ham ne paalā thā magar
kis liye phir vaqt ke hāthoñ meñ ḳhanjar mil ga.e
jab se ham is kārvān-e-bazm meñ dāḳhil hue
kyā batā.eñ kaise kaise phir suḳhanvar mil ga.e
ham jahāñ kī mushkiloñ se 'umr bhar laḌte rahe
zaḳhm DhūñDe to vo mere dil ke andar mil ga.e
aaj jitne hukmarāñ haiñ un kā maazī dekh kar
jā.eza ham ne liyā to saare naukar mil ga.e
vo bhalā.ī kā zamāna jā chukā 'minhāj' ab
muflisī kī raah meñ saare sitamgar mil ga.e
wo mila to husn ke wo sare paikar mil gae
meri khoi zindagi ke sare manzar mil gae
'umr bhar karte rahe hum log pani ki talash
zindagi ki ret par sukhe samundar mil gae
ai akaD kar chalne wale bas tu itna soch le
is zamin ki KHak mein kitne sikandar mil gae
waqt ko phulon ke jaise hum ne pala tha magar
kis liye phir waqt ke hathon mein KHanjar mil gae
jab se hum is karwan-e-bazm mein daKHil hue
kya bataen kaise kaise phir suKHanwar mil gae
hum jahan ki mushkilon se 'umr bhar laDte rahe
zaKHm DhunDe to wo mere dil ke andar mil gae
aaj jitne hukmaran hain un ka mazi dekh kar
jaeza hum ne liya to sare naukar mil gae
wo bhalai ka zamana ja chuka 'minhaj' ab
muflisi ki rah mein sare sitamgar mil gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.