wo mile bhi to ajnabi jaise
vo mile bhī to ajnabī jaise
mujh ko dekhā nahīñ kabhī jaise
jī rahā hai jo sirf jiine ko
maut hai us kī zindagī jaise
ilm shāmil hai har jahālat meñ
hai añdherā ye raushnī jaise
is qadar zo.am chand sāñsoñ par
ḳhud ḳhudā hai ye aadmī jaise
aaj tak bhī milī nahīñ manzil
merī rahbar hai gumrahī jaise
dushmanoñ kā bhī saath detā huuñ
mujh ko hai ḳhud se dushmanī jaise
ye bhī din kaT hī jā.egā 'arshad'
kaT ga.ī ġham kī raat bhī jaise
wo mile bhi to ajnabi jaise
mujh ko dekha nahin kabhi jaise
ji raha hai jo sirf jine ko
maut hai us ki zindagi jaise
ilm shamil hai har jahaalat mein
hai andhera ye raushni jaise
is qadar zoam chand sanson par
KHud KHuda hai ye aadmi jaise
aaj tak bhi mili nahin manzil
meri rahbar hai gumrahi jaise
dushmanon ka bhi sath deta hun
mujh ko hai KHud se dushmani jaise
ye bhi din kaT hi jaega 'arshad'
kaT gai gham ki raat bhi jaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.