wo mera aks hai saya hai ki paikar kya hai
vo mirā aks hai saaya hai ki paikar kyā hai
maiñ nahīñ huuñ to mire qad ke barābar kyā hai
har-nafas zehn meñ uThtā huā mahshar kyā hai
mauj-dar-mauj mire jism ke andar kyā hai
band āñkhoñ se bhī dekho kabhī ā.īne ko
ḳhud samajh loge ki ehsās kā patthar kyā hai
dard ke ek hī jhoñke ne uThāyā tūfāñ
kis ko ma.alūm ki yādoñ kā samundar kyā hai
qaid kar rakkhā hai lamhāt kī dīvāroñ ne
un se niklūñ to zarā dekhūñ ki bāhar kyā hai
jis ko dekho vahī patthar hai liye hāthoñ meñ
dekhnā ye hai ki shīshe kā muqaddar kyā hai
ik sanam roz tarāshā aur use toḌ diyā
zehn-e-insāñ hai 'brāhīm' ki 'āzar' kyā hai
jhiil meñ hañstā huā nanhā sā ma.asūm kañval
kitnā manzar hai suhānā pas-e-manzar kyā hai
apnī hī aag meñ har lamha sulagte rahnā
aur fankār kī taqdīr meñ 'jauhar' kyā hai
wo mera aks hai saya hai ki paikar kya hai
main nahin hun to mere qad ke barabar kya hai
har-nafas zehn mein uThta hua mahshar kya hai
mauj-dar-mauj mere jism ke andar kya hai
band aankhon se bhi dekho kabhi aaine ko
KHud samajh loge ki ehsas ka patthar kya hai
dard ke ek hi jhonke ne uThaya tufan
kis ko malum ki yaadon ka samundar kya hai
qaid kar rakkha hai lamhat ki diwaron ne
un se niklun to zara dekhun ki bahar kya hai
jis ko dekho wahi patthar hai liye hathon mein
dekhna ye hai ki shishe ka muqaddar kya hai
ek sanam roz tarasha aur use toD diya
zehn-e-insan hai 'brahim' ki 'azar' kya hai
jhil mein hansta hua nanha sa masum kanwal
kitna manzar hai suhana pas-e-manzar kya hai
apni hi aag mein har lamha sulagte rahna
aur fankar ki taqdir mein 'jauhar' kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.