wo mera kyon na ham-safar nikla
vo mirā kyoñ na ham-safar niklā
ḳhvāb aur itnā muḳhtasar niklā
saarī duniyā ko ho gayā mā'lūm
bas vahī ek be-ḳhabar niklā
ek chehra rahā nazar meñ mirī
chhoḌ kar vo mujhe kidhar niklā
ek darvāza band andar se
aur khiḌkī se ek sar niklā
sar uThāyā to āsmān thā bas
sar jhukāyā to merā ghar niklā
aanā hotā to aa ga.e hote
raat kā ab to ik pahar niklā
ab batā lauT kar kahāñ jā.ūñ
ye nagar bhī vahī nagar niklā
ye zarūrat kahāñ pe le aa.ī
har safar meñ nayā safar niklā
ḳhuun thūkā to kyā huā hāsil
ye hunar bhī to be-hunar niklā
ham ne jo rāsta chunā thā 'samīr'
koī rasta na phir idhar niklā
wo mera kyon na ham-safar nikla
KHwab aur itna muKHtasar nikla
sari duniya ko ho gaya ma'lum
bas wahi ek be-KHabar nikla
ek chehra raha nazar mein meri
chhoD kar wo mujhe kidhar nikla
ek darwaza band andar se
aur khiDki se ek sar nikla
sar uThaya to aasman tha bas
sar jhukaya to mera ghar nikla
aana hota to aa gae hote
raat ka ab to ek pahar nikla
ab bata lauT kar kahan jaun
ye nagar bhi wahi nagar nikla
ye zarurat kahan pe le aai
har safar mein naya safar nikla
KHun thuka to kya hua hasil
ye hunar bhi to be-hunar nikla
hum ne jo rasta chuna tha 'samir'
koi rasta na phir idhar nikla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.