wo mere dil ki raushni wo mere dagh le gai
vo mire dil kī raushnī vo mire daaġh le ga.ī
aisī chalī havā-e-shām saare charāġh le ga.ī
shāḳh o gul o samar kī baat kaun kare ki ek raat
bād-e-shimāl aa.ī thī baaġh kā baaġh le ga.ī
vaqt kī mauj tund-rau aa.ī thī sū-e-mai-kada
merī sharāb pheñk kar mere ayāġh le ga.ī
dil kā hisāb kyā kareñ dil to usī kā maal thā
nik.hat-e-zulf-e-ambarīñ ab ke dimāġh le ga.ī
baaġh thā us meñ hauz thā hauz thā us meñ phuul thā
ġhair kī be-basīratī mujh se surāġh le ga.ī
wo mere dil ki raushni wo mere dagh le gai
aisi chali hawa-e-sham sare charagh le gai
shaKH o gul o samar ki baat kaun kare ki ek raat
baad-e-shimal aai thi bagh ka bagh le gai
waqt ki mauj tund-rau aai thi su-e-mai-kada
meri sharab phenk kar mere ayagh le gai
dil ka hisab kya karen dil to usi ka mal tha
nikhat-e-zulf-e-ambarin ab ke dimagh le gai
bagh tha us mein hauz tha hauz tha us mein phul tha
ghair ki be-basirati mujh se suragh le gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.