wo meri bazm mein aaya ho kabhi yaad nahin
vo mirī bazm meñ aayā ho kabhī yaad nahīñ
hāl-e-dil khul ke sunāyā ho kabhī yaad nahīñ
ik sar-e-rāh mulāqāt to taslīm magar
ḳhalvatoñ meñ bhī bulāyā ho kabhī yaad nahīñ
qahqahe chhīn ke aañsū mujhe dene vaale
maiñ ne tujh ko bhī rulāyā ho kabhī yaad nahīñ
jo zamāne meñ mire naam se jaanā jaa.e
haq koī us ne jatāyā ho kabhī yaad nahīñ
nīñdeñ rātoñ kī mirī jis ne churā liiñ 'jāved'
maiñ ne us ko bhī jagāyā ho kabhī yaad nahīñ
wo meri bazm mein aaya ho kabhi yaad nahin
haal-e-dil khul ke sunaya ho kabhi yaad nahin
ek sar-e-rah mulaqat to taslim magar
KHalwaton mein bhi bulaya ho kabhi yaad nahin
qahqahe chhin ke aansu mujhe dene wale
main ne tujh ko bhi rulaya ho kabhi yaad nahin
jo zamane mein mere nam se jaana jae
haq koi us ne jataya ho kabhi yaad nahin
ninden raaton ki meri jis ne chura lin 'jawed'
main ne us ko bhi jagaya ho kabhi yaad nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.