wo meri chahat na wo unki adaen rah gain
vo mirī chāhat na vo un kī adā.eñ rah ga.iiñ
zehn meñ kuchh ḳhūbsūrat kalpanāeñ rah ga.iiñ
jis qadar fānūs the nazr-e-havādis ho ga.e
ab charāġhoñ kī hifāzat meñ havā.eñ rah ga.iiñ
apnī barbādī kā afsāna sunāne ke liye
chand sūkhī Dāliyāñ kuchh fāḳhtā.eñ rah ga.iiñ
chashm-o-abrū āriz-o-lab ishva-o-nāz-o-adā
ik mire dil ke liye saarī balā.eñ rah ga.iiñ
māl-o-zar to bhā.iyoñ ne kar liye taqsīm sab
mere hisse meñ faqat maañ kī duā.eñ rah ga.iiñ
TūTte jaate haiñ rishte dharm aur vishvās ke
bas numā.ish ke liye ab āsthā.eñ rah ga.iiñ
lā.eq-e-e.azāz gardāne ga.e ahl-e-jafā
sard baste meñ mirī saarī vafā.eñ rah ga.iiñ
kaun suntā hai yahāñ harf-e-basīrat ai 'nadīm'
dil kī bāteñ ho ke gumbad kī sadā.eñ rah ga.iiñ
wo meri chahat na wo un ki adaen rah gain
zehn mein kuchh KHubsurat kalpanaen rah gain
jis qadar fanus the nazr-e-hawadis ho gae
ab charaghon ki hifazat mein hawaen rah gain
apni barbaadi ka afsana sunane ke liye
chand sukhi Daliyan kuchh faKHtaen rah gain
chashm-o-abru aariz-o-lab ishwa-o-naz-o-ada
ek mere dil ke liye sari balaen rah gain
mal-o-zar to bhaiyon ne kar liye taqsim sab
mere hisse mein faqat man ki duaen rah gain
TuTte jate hain rishte dharm aur wishwas ke
bas numaish ke liye ab aasthaen rah gain
laeq-e-eazaz gardane gae ahl-e-jafa
sard baste mein meri sari wafaen rah gain
kaun sunta hai yahan harf-e-basirat ai 'nadim'
dil ki baaten ho ke gumbad ki sadaen rah gain
- Book : سراب دشت امکاں(غزلیات) (Pg. 67)
- Author : ڈاکٹر امتیاز ندیم
- Publication : مکتبہ نعیمہ صدر بازار(مئو ناتھ بھنجن) (2020)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.