wo meri duniya ka malik tha magar mera na tha
vo mirī duniyā kā mālik thā magar merā na thā
maiñ ne is andāz par pahle kabhī sochā na thā
ek muddat tak rahā ḳhush-fahmiyoñ meñ mubtalā
aa.ine ke rū-ba-rū jab tak mirā chehra na thā
tohmatoñ ko ek aise ajnabī kī hai talāsh
jo kabhī ghar se nikal kar raah meñ Thahrā na thā
ho chukī thiiñ shohrateñ rusvā.iyoñ se ham-kanār
bhuul jaatā maiñ jise vo sāneha aisā na thā
merī nazroñ meñ hai ḳhāka vo bhī husn-e-dost kā
jis ko logoñ ne abhī tak zehn meñ sochā na thā
maiñ uThūñ to rang laa.eñ tazkaroñ ke silsile
log itnā to kaheñ ki aadmī achchhā na thā
log is andāz meñ dete haiñ duniyā kī misāl
maiñ to jaise tajraboñ ke daur se guzrā na thā
ik nayā ehsās dete log ahl-e-sang ko
aabrū ke saath rahnā shahr meñ achchhā na thā
kyā asar-andāz hotā us pe afsāna 'nazar'
lafz bhī māñge hue mafhūm bhī apnā na thā
wo meri duniya ka malik tha magar mera na tha
main ne is andaz par pahle kabhi socha na tha
ek muddat tak raha KHush-fahmiyon mein mubtala
aaine ke ru-ba-ru jab tak mera chehra na tha
tohmaton ko ek aise ajnabi ki hai talash
jo kabhi ghar se nikal kar rah mein Thahra na tha
ho chuki thin shohraten ruswaiyon se ham-kanar
bhul jata main jise wo saneha aisa na tha
meri nazron mein hai KHaka wo bhi husn-e-dost ka
jis ko logon ne abhi tak zehn mein socha na tha
main uThun to rang laen tazkaron ke silsile
log itna to kahen ki aadmi achchha na tha
log is andaz mein dete hain duniya ki misal
main to jaise tajrabon ke daur se guzra na tha
ek naya ehsas dete log ahl-e-sang ko
aabru ke sath rahna shahr mein achchha na tha
kya asar-andaz hota us pe afsana 'nazar'
lafz bhi mange hue mafhum bhi apna na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.