wo miTTi ka sitara hai hamara
vo miTTī kā sitāra hai hamārā
tayammum par guzāra hai hamārā
suḳhan kā husn baḌh jaatā hai is se
ḳhamoshī isti'āra hai hamārā
idhar koī mohabbat se na dekhe
yahī ik dil bichāra hai hamārā
hameñ zinda kiyā jaa.e to us par
vahī dā'vā dubāra hai hamārā
kisī kī daḳhl-andāzī nahīñ hai
ye 'ishq aisā idāra hai hamārā
ka.ī fir'aun haiñ ham-‘asr apne
samajh liije ishāra hai hamārā
wo miTTi ka sitara hai hamara
tayammum par guzara hai hamara
suKHan ka husn baDh jata hai is se
KHamoshi isti'ara hai hamara
idhar koi mohabbat se na dekhe
yahi ek dil bichaara hai hamara
hamein zinda kiya jae to us par
wahi da'wa dubara hai hamara
kisi ki daKHl-andazi nahin hai
ye 'ishq aisa idara hai hamara
kai fir'aun hain ham-‘asr apne
samajh lije ishaara hai hamara
- Book : Aakhiri Ishq Sabse Pahle Kiya (Pg. 36)
- Author : Nomaan Shauque
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.