wo mujhko aazmane wale kya hue
vo mujh ko āzmāne vaale kyā hue
mujhe lahū rulāne vaale kyā hue
mirī ḳhatā batāne vaale kyā hue
mujhe sazā sunāne vaale kyā hue
vo nafratoñ ke qāfiloñ ke darmiyāñ
mohabbateñ luTāne vaale kyā hue
zamīn pūchhtī hai āsmān se
vo inqalāb laane vaale kyā hue
jigar pe zaḳhm haiñ na.e-na.e sabhī
jo zaḳhm the purāne vaale kyā hue
judā na hoñge mujh se is daroġh kā
mujhe yaqīñ dilāne vaale kyā hue
ye rāste meñ aane vaale log haiñ
vo rāsta dikhāne vaale kyā hue
ye mujh se duur jaane vaale kaun haiñ
mire qarīb aane vaale kyā hue
jo mujh ko kah rahe the haar jā.egā
yahīñ to the zamāne vaale kyā hue
kahāñ se aa base haiñ ye daroġh-go
jahāñ ko sach batāne vaale kyā hue
ujaaḌ mai-kade se pūchhiye koī
vo piine aur pilāne vaale kyā hue
wo mujh ko aazmane wale kya hue
mujhe lahu rulane wale kya hue
meri KHata batane wale kya hue
mujhe saza sunane wale kya hue
wo nafraton ke qafilon ke darmiyan
mohabbaten luTane wale kya hue
zamin puchhti hai aasman se
wo inqalab lane wale kya hue
jigar pe zaKHm hain nae-nae sabhi
jo zaKHm the purane wale kya hue
juda na honge mujh se is darogh ka
mujhe yaqin dilane wale kya hue
ye raste mein aane wale log hain
wo rasta dikhane wale kya hue
ye mujh se dur jaane wale kaun hain
mere qarib aane wale kya hue
jo mujh ko kah rahe the haar jaega
yahin to the zamane wale kya hue
kahan se aa base hain ye darogh-go
jahan ko sach batane wale kya hue
ujaD mai-kade se puchhiye koi
wo pine aur pilane wale kya hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.