wo mujhko mangta hai zebai chahta hai
vo mujh ko māñgtā hai zebā.ī chāhtā hai
mere ḳhilāf mujh se paspā.ī chāhtā hai
hogī qubūl lekin ye shart lāzmī hai
maqbūliyat kī ḳhātir gahrā.ī chāhtā hai
sahrā kī chhāntā hai vo ḳhaak ḳhaak zarra
ik ajnabī sā ġham hai rusvā.ī chāhtā hai
makr-o-fareb le kar har shaḳhs dekhtā hai
dil sab se bhar gayā hai tanhā.ī chāhtā hai
dil dekhtā rahā hai us paar kā sitāra
is paar dekhne ko bīnā.ī chāhtā hai
bikhre hue paḌe haiñ reze vajūd ke hī
simTe na phir kabhī ye harjā.ī chāhtā hai
is naḳhl-e-dostāñ pe gul haiñ khile hue jo
ḳhushbū-e-gulsitāñ kī sachchā.ī chāhtā hai
wo mujh ko mangta hai zebai chahta hai
mere KHilaf mujh se paspai chahta hai
hogi qubul lekin ye shart lazmi hai
maqbuliyat ki KHatir gahrai chahta hai
sahra ki chhanta hai wo KHak KHak zarra
ek ajnabi sa gham hai ruswai chahta hai
makr-o-fareb le kar har shaKHs dekhta hai
dil sab se bhar gaya hai tanhai chahta hai
dil dekhta raha hai us par ka sitara
is par dekhne ko binai chahta hai
bikhre hue paDe hain reze wajud ke hi
simTe na phir kabhi ye harjai chahta hai
is naKHl-e-dostan pe gul hain khile hue jo
KHushbu-e-gulsitan ki sachchai chahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.