wo mujh pe taras khaen ye qismat hi nahin hai
vo mujh pe taras khā.eñ ye qismat hī nahīñ hai
maiñ shikva karūñ ye mirī fitrat hī nahīñ hai
anjān bane baiThe haiñ vo bazm meñ aise
jaise ki kisī se unheñ nisbat hī nahīñ hai
niklā bhī qafas se to na pahuñchūñgā chaman tak
majbūr huuñ parvāz kī tāqat hī nahīñ hai
ai kaash tirā qurb jo ho jaa.e mayassar
phir mujh ko kisī shai kī zarūrat hī nahīñ hai
'fayyāz' faqat apne muqaddar se gila hai
un se to mujhe koī shikāyat hī nahīñ hai
wo mujh pe taras khaen ye qismat hi nahin hai
main shikwa karun ye meri fitrat hi nahin hai
anjaan bane baiThe hain wo bazm mein aise
jaise ki kisi se unhen nisbat hi nahin hai
nikla bhi qafas se to na pahunchunga chaman tak
majbur hun parwaz ki taqat hi nahin hai
ai kash tera qurb jo ho jae mayassar
phir mujh ko kisi shai ki zarurat hi nahin hai
'fayyaz' faqat apne muqaddar se gila hai
un se to mujhe koi shikayat hi nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.