Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo mujhse marasim ka to inkar nahin karta

Safdar Saleem Sial

wo mujhse marasim ka to inkar nahin karta

Safdar Saleem Sial

vo mujh se marāsim to inkār nahīñ kartā

lekin vo mohabbat bhī iqrār nahīñ kartā

bas itnī shikāyat hai tirī shusta-ravī se

mahsūs jo kartā hai vo iz.hār nahīñ kartā

rakhtā hai zamāne ko sadā barsar-e-paikār

vo ḳhud ko kabhī barsar-e-paikār nahīñ kartā

kartā hai vo har shauq takmīl bahar-taur

lekin vo kabhī bar-sar-e-bāzār nahīñ kartā

rahtā hai har ik kaam meñ vo barsar-e-matlab

vo kaam koī shahr meñ be-kār nahīñ kartā

ehsās dilātā hai mujhe be-ḳhabarī

lekin vo mulāqāt pe isrār nahīñ kartā

vo tark-e-marāsim pe pashemān bahut hai

is baat lekin abhī iqrār nahīñ kartā

ne to kasar koī bhī chhoḌī na jafā

vo phir bhī tujhe shāmil-e-aġhyār nahīñ kartā

pahre to biThā.e haiñ sabhī rāhoñ pe lekin

ḳhatre se kabhī koī ḳhabar-dār nahīñ kartā

jo tum ne ḳhud apnoñ se ravā rakkhā hai ab tak

aisā to koī sāhab-e-kirdār nahīñ kartā

kyā soch ke tum 'ahd-e-vafā bāñdh rahe ho

ye jurm to ab koī gunahgār nahīñ kartā

wo mujh se marasim ka to inkar nahin karta

lekin wo mohabbat ka bhi iqrar nahin karta

bas itni shikayat hai teri shusta-rawi se

mahsus jo karta hai wo izhaar nahin karta

rakhta hai zamane ko sada barsar-e-paikar

wo KHud ko kabhi barsar-e-paikar nahin karta

karta hai wo har shauq ki takmil bahar-taur

lekin wo kabhi bar-sar-e-bazar nahin karta

rahta hai har ek kaam mein wo barsar-e-matlab

wo kaam koi shahr mein be-kar nahin karta

ehsas dilata hai mujhe be-KHabari ka

lekin wo mulaqat pe israr nahin karta

wo tark-e-marasim pe pasheman bahut hai

is baat ka lekin abhi iqrar nahin karta

tu ne to kasar koi bhi chhoDi na jafa ki

wo phir bhi tujhe shamil-e-aghyar nahin karta

pahre to biThae hain sabhi rahon pe lekin

KHatre se kabhi koi KHabar-dar nahin karta

jo tum ne KHud apnon se rawa rakkha hai ab tak

aisa to koi sahab-e-kirdar nahin karta

kya soch ke tum 'ahd-e-wafa bandh rahe ho

ye jurm to ab koi gunahgar nahin karta

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now