wo musibat mein bhi lachaar nahin ho sakta
vo musībat meñ bhī lāchār nahīñ ho saktā
hausla ret kī dīvār nahīñ ho saktā
maiñ koī jugnū nahīñ huuñ jo pakaḌ meñ aa.uuñ
maiñ to jhoñkā huuñ giraftār nahīñ ho saktā
jo hai mujrim use suulī pe chaḌhā do lekin
har musalmān to ġhaddār nahīñ ho saktā
sone chāñdī ke tarāzū meñ na tolo mujh ko
maiñ kabhī bikne ko tayyār nahīñ ho saktā
maiñ ne ā.īne kī tārīḳh paḌhī hai yaaro
jhuuT kā vo to taraf-dār nahīñ ho saktā
maiñ ne sachchā.ī pe sajde meñ kaTā dī gardan
merā sajda kabhī bekār nahīñ ho saktā
aise Darpok safīne ko jalā duuñ 'dānish'
Dar ke maujoñ se jo us paar nahīñ ho saktā
wo musibat mein bhi lachaar nahin ho sakta
hausla ret ki diwar nahin ho sakta
main koi jugnu nahin hun jo pakaD mein aaun
main to jhonka hun giraftar nahin ho sakta
jo hai mujrim use suli pe chaDha do lekin
har musalman to ghaddar nahin ho sakta
sone chandi ke taraazu mein na tolo mujh ko
main kabhi bikne ko tayyar nahin ho sakta
main ne aaine ki tariKH paDhi hai yaro
jhuT ka wo to taraf-dar nahin ho sakta
main ne sachchai pe sajde mein kaTa di gardan
mera sajda kabhi bekar nahin ho sakta
aise Darpok safine ko jala dun 'danish'
Dar ke maujon se jo us par nahin ho sakta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.