wo muskura ke dil-o-jaan pe war karta hai
vo muskurā ke dil-o-jāñ pe vaar kartā hai
ki ek tiir se do do shikār kartā hai
maiñ us ko dost samajhne lagā magar mujh ko
vo dushmanoñ meñ abhī tak shumār kartā hai
ḳhayāl meñ bhī na aa.e jo mere dushman ke
vo kaam mere liye merā yaar kartā hai
us aadmī se to har vaqt hoshiyār raho
jo dūsroñ se tumheñ hoshiyār kartā hai
bas ek maañ hī mirī raah dekhe hai varna
kisī kā kaun yahāñ intizār kartā hai
tamām logoñ se rahtā hai hoshiyār magar
vo 'ajnabī' pe bahut e'tibār kartā hai
wo muskura ke dil-o-jaan pe war karta hai
ki ek tir se do do shikar karta hai
main us ko dost samajhne laga magar mujh ko
wo dushmanon mein abhi tak shumar karta hai
KHayal mein bhi na aae jo mere dushman ke
wo kaam mere liye mera yar karta hai
us aadmi se to har waqt hoshiyar raho
jo dusron se tumhein hoshiyar karta hai
bas ek man hi meri rah dekhe hai warna
kisi ka kaun yahan intizar karta hai
tamam logon se rahta hai hoshiyar magar
wo 'ajnabi' pe bahut e'tibar karta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.