wo muskura ke jidhar se nikal gae honge
vo muskurā ke jidhar se nikal ga.e hoñge
nigāh-e-shauq meñ aañsū machal ga.e hoñge
guzar ke hosh kī manzil se tere dīvāne
junūñ kī had se bhī aage nikal ga.e hoñge
butān-e-dahr ke vā'de ġhalat sahī lekin
hazār-hā dil-e-nādāñ bahal ga.e hoñge
jo ham-safar sar-e-manzil nazar nahīñ aate
junūn-e-shauq meñ aage nikal ga.e hoñge
shab-e-firāq se ghabrā ga.e the dīvāne
talāsh-e-sub.h se ghar se nikal ga.e hoñge
ik inqalāb se 'ālam guzar rahā hai 'shamīm'
mujhe yaqīn hai vo bhī badal ga.e hoñge
wo muskura ke jidhar se nikal gae honge
nigah-e-shauq mein aansu machal gae honge
guzar ke hosh ki manzil se tere diwane
junun ki had se bhi aage nikal gae honge
butan-e-dahr ke wa'de ghalat sahi lekin
hazar-ha dil-e-nadan bahal gae honge
jo ham-safar sar-e-manzil nazar nahin aate
junun-e-shauq mein aage nikal gae honge
shab-e-firaq se ghabra gae the diwane
talash-e-subh se ghar se nikal gae honge
ek inqalab se 'alam guzar raha hai 'shamim'
mujhe yaqin hai wo bhi badal gae honge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.