wo na aae na hi bahaar aae
vo na aa.e na hī bahār aa.e
kaise dil ko mire qarār aa.e
Tiis uThtī hai ik ajab dil meñ
sāmne jab bhī kū-e-yār aa.e
yād-e-māzī meñ bhiig jaa.eñ ham
sāvanī jab bhī ye phuvār aa.e
ho ke māyūs lauTtī hai sadā
ham jahāñ bhī tumheñ pukār aa.e
ab ḳhizāñ kā chaman meñ pherā hai
ab kahāñ se vo barg-o-bār aa.e
kis se ab hāl-e-dil kaheñ apnā
aaj vo yaad be-shumār aa.e
wo na aae na hi bahaar aae
kaise dil ko mere qarar aae
Tis uThti hai ek ajab dil mein
samne jab bhi ku-e-yar aae
yaad-e-mazi mein bhig jaen hum
sawani jab bhi ye phuwar aae
ho ke mayus lauTti hai sada
hum jahan bhi tumhein pukar aae
ab KHizan ka chaman mein phera hai
ab kahan se wo barg-o-bar aae
kis se ab haal-e-dil kahen apna
aaj wo yaad be-shumar aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.