wo na aae to dekho har taraf udasi hai
vo na aa.e to dekho har taraf udāsī hai
phuul bhī haiñ nam-dīda chāñdnī ḳhafā sī hai
vāqa.ī mirī vahshat kuchh to rang le aa.ī
mujh pe hañsne vāloñ ke ruḳh pe bad-havāsī hai
jaam de na de ruḳh se bas naqāb sarkā de
har nigāh ai saaqī mai-kade meñ pyāsī hai
maslahat-shi.āro haañ daar hai mirī manzil
jurm ahd-e-hāzir meñ sirf haq-shanāsī hai
bāġhbāñ bahāroñ par kyoñ nazar nahīñ terī
shoḳh shoḳh phūloñ kā rang kyoñ kapāsī hai
vo mire ḳhayāloñ meñ hañs rahe haiñ ai 'māhir'
sub.h ḳhūbsūrat hai shaam dilrubā sī hai
wo na aae to dekho har taraf udasi hai
phul bhi hain nam-dida chandni KHafa si hai
waqai meri wahshat kuchh to rang le aai
mujh pe hansne walon ke ruKH pe bad-hawasi hai
jam de na de ruKH se bas naqab sarka de
har nigah ai saqi mai-kade mein pyasi hai
maslahat-shiaro han dar hai meri manzil
jurm ahd-e-hazir mein sirf haq-shanasi hai
baghban bahaaron par kyon nazar nahin teri
shoKH shoKH phulon ka rang kyon kapasi hai
wo mere KHayalon mein hans rahe hain ai 'mahir'
subh KHubsurat hai sham dilruba si hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.