wo naqa-e-KHayal sa guzar gaya
vo nāqa-e-ḳhayāl sā guzar gayā
idhar nafas kā kārvāñ bikhar gayā
ye kis zamīn par mire qadam paḌe
vo kyā ġhubār thā ki maiñ nikhar gayā
lipaT ke ro rahī haiñ mujh se hairateñ
malāl thā ki rā.egāñ safar gayā
sabhī gumāñ kī daldalī zamīñ pe the
so maiñ bhī apne aap meñ utar gayā
bhaTak rahā huuñ najd-e-shab meñ tār-tār
vo bāġh-e-tal'atī mirā kidhar gayā
navā-garān-e-shahr sīna-chāk haiñ
sitamgaroñ kī daad se hunar gayā
vo kaisā barguzīda-e-malāl thā
zarā ḳhushī milī thī aur mar gayā
wo naqa-e-KHayal sa guzar gaya
idhar nafas ka karwan bikhar gaya
ye kis zamin par mere qadam paDe
wo kya ghubar tha ki main nikhar gaya
lipaT ke ro rahi hain mujh se hairaten
malal tha ki raegan safar gaya
sabhi guman ki daldali zamin pe the
so main bhi apne aap mein utar gaya
bhaTak raha hun najd-e-shab mein tar-tar
wo bagh-e-tal'ati mera kidhar gaya
nawa-garan-e-shahr sina-chaak hain
sitamgaron ki dad se hunar gaya
wo kaisa barguzida-e-malal tha
zara KHushi mili thi aur mar gaya
- Book : Jism Ka Bartan Sard Pada Hai (Pg. 41)
- Author : Ameer Hamza Saqib
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.