wo nata toDte hain aur gila bhi karte hain
vo naatā toḌte haiñ aur gila bhī karte haiñ
nahīñ mileñge ye kah kar milā bhī karte haiñ
tamām umr hī apnī rafū-garī meñ ga.ī
ye zaḳhm haiñ ye yaqīñ thā silā bhī karte haiñ
bichhaḌ ga.e jo kahāñ un kī aas ho koī
magar jo kah ke ye jaa.eñ milā bhī karte haiñ
haiñ kaise ham ki jo qurbān haiñ tasalsul se
haiñ kaise vo ki jo ham se gila bhī karte haiñ
kahā bhī thā yahī un se ḳhizāñ abhī tak hai
ḳhizāñ rutoñ meñ bhalā gul khilā bhī karte haiñ
kahīñ ho jā.eñge bebas rivāyatoñ ke amiiñ
kabhī pahāḌ jagah se hilā bhī karte haiñ
hai rāhguzār hī aisī ye pyaar kī 'āmir'
basar ho ḳhaak meñ paañv chhilā bhī karte haiñ
wo nata toDte hain aur gila bhi karte hain
nahin milenge ye kah kar mila bhi karte hain
tamam umr hi apni rafu-gari mein gai
ye zaKHm hain ye yaqin tha sila bhi karte hain
bichhaD gae jo kahan un ki aas ho koi
magar jo kah ke ye jaen mila bhi karte hain
hain kaise hum ki jo qurban hain tasalsul se
hain kaise wo ki jo hum se gila bhi karte hain
kaha bhi tha yahi un se KHizan abhi tak hai
KHizan ruton mein bhala gul khila bhi karte hain
kahin ho jaenge bebas riwayaton ke amin
kabhi pahaD jagah se hila bhi karte hain
hai rahguzar hi aisi ye pyar ki 'amir'
basar ho KHak mein panw chhila bhi karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.