wo nahin to zindagi ko zindagi kaise kahen
vo nahīñ to zindagī ko zindagī kaise kaheñ
mil gayā sab kuchh magar is ko ḳhushī kaise kahīñ
aap kī ma.asūmiyat pe ho ga.e qurbān ham
aap kī is sādgī ko sādgī kaise kaheñ
chāñd kī āvārgī se aaj haiñ hairān sab
aur vo āñkhoñ se ojhal chāñdnī kaise kaheñ
jism bhī hai jaan bhī hai duur haiñ ehsās se
aap hoñge aur kuchh ham aadmī kaise kaheñ
aap kī in chāhatoñ se baḌh ga.iiñ dushvāriyāñ
aap kī in chāhatoñ ko maḳhmalī kaise kaheñ
shoḳhiyoñ ke tiir ham par pheñkte haiñ aaj vo
'shād' vo kuchh bhī kaheñ ham dil-lagī kaise kaheñ
wo nahin to zindagi ko zindagi kaise kahen
mil gaya sab kuchh magar is ko KHushi kaise kahin
aap ki masumiyat pe ho gae qurban hum
aap ki is sadgi ko sadgi kaise kahen
chand ki aawargi se aaj hain hairan sab
aur wo aankhon se ojhal chandni kaise kahen
jism bhi hai jaan bhi hai dur hain ehsas se
aap honge aur kuchh hum aadmi kaise kahen
aap ki in chahaton se baDh gain dushwariyan
aap ki in chahaton ko maKHmali kaise kahen
shoKHiyon ke tir hum par phenkte hain aaj wo
'shad' wo kuchh bhi kahen hum dil-lagi kaise kahen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.