wo nahin unki nigahon ka ishaara to mila
vo nahīñ un kī nigāhoñ kā ishārā to milā
ḳhush ho ai dil tujhe jiine kā sahārā to milā
aur kyā chāhiye ai dil ġham-e-jānāñ ke tufail
kahkashāñ aah ko palkoñ ko sitārā to milā
shukriya mujh ko nigāhoñ se girāne vaale
girte girte tirī bāñhoñ kā sahārā to milā
nāḳhudā se na sahī nām-e-ḳhudā se ai dost
merī TuuTī huī kashtī ko sahārā to milā
aap in āñkhoñ kī nadiyoñ ko milegā sangam
apne dāman pe zarā dhāre se dhārā to milā
tuur ke barq-e-tajallī ne kiyā ḳhaak magar
nigah-e-shauq ko halkā sā ishārā to milā
be-ruḳhī un kī girāñ laakh sahī phir bhī 'muhib'
dil ko tāqat to milī zabt ko yaarā to milā
wo nahin un ki nigahon ka ishaara to mila
KHush ho ai dil tujhe jine ka sahaara to mila
aur kya chahiye ai dil gham-e-jaanan ke tufail
kahkashan aah ko palkon ko sitara to mila
shukriya mujh ko nigahon se girane wale
girte girte teri banhon ka sahaara to mila
naKHuda se na sahi nam-e-KHuda se ai dost
meri TuTi hui kashti ko sahaara to mila
aap in aankhon ki nadiyon ko milega sangam
apne daman pe zara dhaare se dhaara to mila
tur ke barq-e-tajalli ne kiya KHak magar
nigah-e-shauq ko halka sa ishaara to mila
be-ruKHi un ki giran lakh sahi phir bhi 'muhib'
dil ko taqat to mili zabt ko yara to mila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.