wo naKHl jo bar-war hue hain
vo naḳhl jo bār-var hue haiñ
āshob-e-ḳhizāñ se Dar rahe haiñ
shāḳhoñ pe tiir ke zaḳhm haiñ ye
yā phir se gulāb jhāñkte haiñ
zulmat meñ bahut hī yaad aa.e
vo chāñd jo ham-safar rahe haiñ
le dast-e-havas ye phuul tere
kāñTe to vafā ne chun liye haiñ
badlā na navishta-e-maqdūr
maktūb to ham ne bhī likhe haiñ
pāmāl-e-jahāñ hue ki ham ne
kuchh ḳhvāb jahāñ ko bhī diye haiñ
TuuTī hai kahīñ sadā kī zanjīr
halqe se ḳhayāl ke paḌe haiñ
sahrā kā sukūt kah rahā hai
shahroñ ke charāġh bujh ga.e haiñ
ai ishq-e-junūñ-shi.ār tere
duniyā meñ ajiib silsile haiñ
chamkī hai jo sarnavisht-e-ādam
tahzīb ke naqsh ban ga.e haiñ
āfāq kī vus.atoñ se aage
kuchh aur charāġh jal uThe haiñ
insāñ kā shu.ūr kah rahā hai
insāñ ne bahut se dukh sahe haiñ
wo naKHl jo bar-war hue hain
aashob-e-KHizan se Dar rahe hain
shaKHon pe tir ke zaKHm hain ye
ya phir se gulab jhankte hain
zulmat mein bahut hi yaad aae
wo chand jo ham-safar rahe hain
le dast-e-hawas ye phul tere
kanTe to wafa ne chun liye hain
badla na nawishta-e-maqdur
maktub to hum ne bhi likhe hain
pamal-e-jahan hue ki hum ne
kuchh KHwab jahan ko bhi diye hain
TuTi hai kahin sada ki zanjir
halqe se KHayal ke paDe hain
sahra ka sukut kah raha hai
shahron ke charagh bujh gae hain
ai ishq-e-junun-shiar tere
duniya mein ajib silsile hain
chamki hai jo sarnawisht-e-adam
tahzib ke naqsh ban gae hain
aafaq ki wusaton se aage
kuchh aur charagh jal uThe hain
insan ka shuur kah raha hai
insan ne bahut se dukh sahe hain
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 437)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (25Edition Nov. Dec. 1986)
- Edition : 25Edition Nov. Dec. 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.