wo naqab-e-ruKH uTha kar kabhi baam tak na pahunche
vo naqāb-e-ruḳh uThā kar kabhī baam tak na pahuñche
vo karam bhī kyā karam hai jo avaam tak na pahuñche
ye shabāb ik balā hai miirī tujh se iltijā hai
dil-e-zār koī tohmat mire naam tak na pahuñche
mirī har ḳhushī hai ai dil mire ġham kī ik nishānī
vo sahar sahar nahīñ hai ki jo shaam tak na pahuñche
vo tuyūr ḳhaak samjhe par-o-bāl kī haqīqat
jo nikal kar āshiyāñ se kabhī daam tak na pahuñche
tire pāsbāñ ko mujh se koī ḳhaas hai adāvat
maiñ payām tujh ko bhejūñ to salām tak na pahuñche
tujhe murġh-e-dil mubārak ye talāsh-e-dāna lekin
ye talāsh rafta rafta kahīñ daam tak na pahuñche
rahe kyoñ na un se shikva mujhe kam-nigāhiyoñ kā
mirā ḳhat paḌhā bhī lekin mire naam tak na pahuñche
ye hai rāz-e-ishq 'sāhir' ise kyoñ chhupā rahe ho
ye vo baat hī nahīñ hai jo avaam tak na pahuñche
wo naqab-e-ruKH uTha kar kabhi baam tak na pahunche
wo karam bhi kya karam hai jo awam tak na pahunche
ye shabab ek bala hai meri tujh se iltija hai
dil-e-zar koi tohmat mere nam tak na pahunche
meri har KHushi hai ai dil mere gham ki ek nishani
wo sahar sahar nahin hai ki jo sham tak na pahunche
wo tuyur KHak samjhe par-o-baal ki haqiqat
jo nikal kar aashiyan se kabhi dam tak na pahunche
tere pasban ko mujh se koi KHas hai adawat
main payam tujh ko bhejun to salam tak na pahunche
tujhe murgh-e-dil mubarak ye talash-e-dana lekin
ye talash rafta rafta kahin dam tak na pahunche
rahe kyon na un se shikwa mujhe kam-nigahiyon ka
mera KHat paDha bhi lekin mere nam tak na pahunche
ye hai raaz-e-ishq 'sahir' ise kyon chhupa rahe ho
ye wo baat hi nahin hai jo awam tak na pahunche
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.