wo naqsh-e-qadam mehwar-o-maqsud hain mere
vo naqsh-e-qadam mehvar-o-maqsūd haiñ mere
maulā hue ka.abe meñ jo maulūd haiñ mere
mere liye mānūs hai vo maut kī vaadī
kuchh log vahāñ pahle hī maujūd haiñ mere
us rūh-e-tamanna kī mahak tak huī ruḳhsat
baaqī jo bache saañs vo be-sūd haiñ mere
chehra hai ye kis kā mire chehre kī jagah par
ā.īnoñ ke ā.īne hī masdūd haiñ mere
āñkheñ jo khulīñ dekhā sukūt-e-ajal-e-ḳhvāb
thā shor sitāre baḌe mas.ūd haiñ mere
garche huuñ gunahgār magar un kā gadā huuñ
ḳhush huuñ ki saḳhī ahmad-o-mahmūd haiñ mere
ma.asūm haiñ aur koī ḳhatā un kī nahīñ hai
mazlūm jinheñ khā gayā bārūd haiñ mere
tauhīd-mizājoñ meñ mirā naam ba-har-gām
samjhāo jinheñ vahm hai ma.abūd haiñ mere
maiñ qābil-e-rashk un ko samajhtā nahīñ 'yāsir'
jin logoñ ko da.avā hai ki mahsūd haiñ mere
wo naqsh-e-qadam mehwar-o-maqsud hain mere
maula hue kabe mein jo maulud hain mere
mere liye manus hai wo maut ki wadi
kuchh log wahan pahle hi maujud hain mere
us ruh-e-tamanna ki mahak tak hui ruKHsat
baqi jo bache sans wo be-sud hain mere
chehra hai ye kis ka mere chehre ki jagah par
aainon ke aaine hi masdud hain mere
aankhen jo khulin dekha sukut-e-ajal-e-KHwab
tha shor sitare baDe masud hain mere
garche hun gunahgar magar un ka gada hun
KHush hun ki saKHi ahmad-o-mahmud hain mere
masum hain aur koi KHata un ki nahin hai
mazlum jinhen kha gaya barud hain mere
tauhid-mizajon mein mera nam ba-har-gam
samjhao jinhen wahm hai mabud hain mere
main qabil-e-rashk un ko samajhta nahin 'yasir'
jin logon ko dawa hai ki mahsud hain mere
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.