wo nazar bhi hai aur sharab bhi hai
vo nazar bhī hai aur sharāb bhī hai
hairatī dil dil-e-ḳharāb bhī hai
hai 'ajab kaifiyat tire aage
ik sukūñ bhī hai iztirāb bhī hai
yuuñ sar-e-bazm un kā chup rahnā
ḳhāmushī bhī hai aur ḳhitāb bhī hai
un ke ruḳh ke haiñ kitne ruḳh dekhe
vahī mus.haf vahī kitāb bhī hai
hai niyāz-e-nigāh-e-nāz faqat
aur yahī rāz-e-iztirāb bhī hai
banda-e-faḳhr-e-'āshiqī hai 'naqī'
yuuñ sag-e-kū-e-bū-turāb bhī hai
wo nazar bhi hai aur sharab bhi hai
hairati dil dil-e-KHarab bhi hai
hai 'ajab kaifiyat tere aage
ek sukun bhi hai iztirab bhi hai
yun sar-e-bazm un ka chup rahna
KHamushi bhi hai aur KHitab bhi hai
un ke ruKH ke hain kitne ruKH dekhe
wahi mushaf wahi kitab bhi hai
hai niyaz-e-nigah-e-naz faqat
aur yahi raaz-e-iztirab bhi hai
banda-e-faKHr-e-'ashiqi hai 'naqi'
yun sag-e-ku-e-bu-turab bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.