wo nazren mere dil ka mansha samajh kar
vo nazreñ mire dil kā manshā samajh kar
mujhe chhīne letī haiñ apnā samajh kar
tumhī ne to dīvāna mujh ko banāyā
tumhī hañs rahe ho tamāshā samajh kar
likhā ḳhat unheñ likh ke ḳhud phaaḌ Daalā
ibārat meñ rang-e-tamannā samajh kar
ye maanā ki bīmār se thā na matlab
chale aa.e vo rasm-e-duniyā samajh kar
usī ne kiyā ham ko pāmāl 'naḳhshab'
diyā dil jise ham ne apnā samajh kar
wo nazren mere dil ka mansha samajh kar
mujhe chhine leti hain apna samajh kar
tumhi ne to diwana mujh ko banaya
tumhi hans rahe ho tamasha samajh kar
likha KHat unhen likh ke KHud phaD Dala
ibarat mein rang-e-tamanna samajh kar
ye mana ki bimar se tha na matlab
chale aae wo rasm-e-duniya samajh kar
usi ne kiya hum ko pamal 'naKHshab'
diya dil jise hum ne apna samajh kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.