wo nigahen jidhar gai hongi
vo nigāheñ jidhar ga.ī hoñgī
sab ko dīvāna kar ga.ī hoñgī
rā.egāñ jo ga.iiñ mohabbat meñ
vo duā.eñ kidhar ga.ī hoñgī
dekh kar rāstoñ ko harakat meñ
manzileñ ḳhud Thahar ga.ī hoñgī
vaqt ke is aziim raste se
kitnī qaumeñ guzar ga.ī hoñgī
jab sahar hogī shām-e-hijrāñ kī
kitnī sadiyāñ guzar ga.ī hoñgī
wo nigahen jidhar gai hongi
sab ko diwana kar gai hongi
raegan jo gain mohabbat mein
wo duaen kidhar gai hongi
dekh kar raston ko harakat mein
manzilen KHud Thahar gai hongi
waqt ke is azim raste se
kitni qaumen guzar gai hongi
jab sahar hogi sham-e-hijran ki
kitni sadiyan guzar gai hongi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.