wo os thi ki chandni gulab ke suragh mein
vo os thī ki chāñdnī gulāb ke surāġh meñ
savāl hī badal gayā javāb ke surāġh meñ
baras rahī thī dopahar meñ aag āsmān se
nadī kisī nagar meñ thī sahāb ke surāġh meñ
zamīñ pe ḳhema-e-safar utārne kī der thī
havā-e-tund chal paḌī tanāb ke surāġh meñ
tamām sur bikhar ga.e usī ko DhūñDte hue
jo sāhiloñ pe gum huā rubāb ke surāġh meñ
ghuTan-zada thiiñ ghāTiyāñ fazā meñ ek ḳhauf thā
shikāriyoñ kā ġhol thā 'uqāb ke surāġh meñ
taras rahā thā bastiyoñ kā husn ik nigāh ko
guzar rahe the qāfile ġhayāb ke surāġh meñ
unhī ko raushnī ke dar khule mile the ḳhaak par
nikal ga.e jo ġhaar se kitāb ke surāġh meñ
wo os thi ki chandni gulab ke suragh mein
sawal hi badal gaya jawab ke suragh mein
baras rahi thi dopahar mein aag aasman se
nadi kisi nagar mein thi sahab ke suragh mein
zamin pe KHema-e-safar utarne ki der thi
hawa-e-tund chal paDi tanab ke suragh mein
tamam sur bikhar gae usi ko DhunDte hue
jo sahilon pe gum hua rubab ke suragh mein
ghuTan-zada thin ghaTiyan faza mein ek KHauf tha
shikariyon ka ghol tha 'uqab ke suragh mein
taras raha tha bastiyon ka husn ek nigah ko
guzar rahe the qafile ghayab ke suragh mein
unhi ko raushni ke dar khule mile the KHak par
nikal gae jo ghaar se kitab ke suragh mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.