wo pak ism wazifa karo asar aae
vo paak ism vazīfa karo asar aa.e
abhī zamīn ke siine kā zaḳhm bhar aa.e
fazā meñ sabz parindoñ kā chahchahā hai bahut
koī parind mirī chhat pe bhī utar aa.e
agarche shahr meñ kuchh aise nāmvar bhī na the
magar vo naam ki duniyā meñ naam kar aa.e
sunā hai garm-bayānī se kuchh nahīñ hotā
diloñ se ho ke mohabbat zabān par aa.e
mahak to sakte haiñ pathrīlī vādiyoñ meñ gulāb
magar ye shart hai kuchh haath meñ hunar aa.e
vo naqsh-e-pā mirī āñkhoñ ko raas aa jaatā
maiñ chāhtā huuñ mujhe bhī mirī ḳhabar aa.e
use maiñ chhoḌ duuñ mujh se ye ho nahīñ saktā
mirī hathelī pe ḳhurshīd bhī utar aa.e
qadam qadam pe ujāle chhalak rahe haiñ magar
ḳhudā kare ki tabī'at bhī raah par aa.e
kisī ke qurb kī lazzat 'ra.īs' kyā kahnā
ġham-e-hayāt kī manzil se jab guzar aa.e
wo pak ism wazifa karo asar aae
abhi zamin ke sine ka zaKHm bhar aae
faza mein sabz parindon ka chahchaha hai bahut
koi parind meri chhat pe bhi utar aae
agarche shahr mein kuchh aise namwar bhi na the
magar wo nam ki duniya mein nam kar aae
suna hai garm-bayani se kuchh nahin hota
dilon se ho ke mohabbat zaban par aae
mahak to sakte hain pathrili wadiyon mein gulab
magar ye shart hai kuchh hath mein hunar aae
wo naqsh-e-pa meri aankhon ko ras aa jata
main chahta hun mujhe bhi meri KHabar aae
use main chhoD dun mujh se ye ho nahin sakta
meri hatheli pe KHurshid bhi utar aae
qadam qadam pe ujale chhalak rahe hain magar
KHuda kare ki tabi'at bhi rah par aae
kisi ke qurb ki lazzat 'rais' kya kahna
gham-e-hayat ki manzil se jab guzar aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.