wo pahle dasht ki aab-o-hawa ko tolega
vo pahle dasht kī āb-o-havā ko tolegā
hisāb mere tanaffus kā ab ke jo legā
fazā meñ rang vo kuchh is adā se gholegā
mire jigar ke lahū se badan bhigo legā
baḌhā ke sab kī zarūrat ko ishtihāroñ se
jahāñ vo chāhegā apnī dukān kholegā
bahut kaThin hai samajhnā siyāsateñ us kī
ġharaz huī to vo dushman ke saath ho legā
ḳhabar hai garm ki tūfān aane vaalā hai
to kyā majāl ki pattā bhī koī Dolegā
har ek shai to hai tahzīb ke shikanje meñ
chahak chahak ke gulistāñ meñ kaun bolegā
suḳhanvarī meñ nazar aa.egī tabhī raunaq
tū ḳhūn-e-dil meñ agar uñgliyāñ Dubo legā
bikhar rahe haiñ sar-e-bazm qahqahe jis ke
guhar vo ashk ke tanhā.iyoñ meñ ro legā
ravāñ hayāt hai ḳhvāboñ kī shāh-rāhoñ par
abhī sukūn se 'bebāk' kaise so legā
wo pahle dasht ki aab-o-hawa ko tolega
hisab mere tanaffus ka ab ke jo lega
faza mein rang wo kuchh is ada se gholega
mere jigar ke lahu se badan bhigo lega
baDha ke sab ki zarurat ko ishtihaaron se
jahan wo chahega apni dukan kholega
bahut kaThin hai samajhna siyasaten us ki
gharaz hui to wo dushman ke sath ho lega
KHabar hai garm ki tufan aane wala hai
to kya majal ki patta bhi koi Dolega
har ek shai to hai tahzib ke shikanje mein
chahak chahak ke gulistan mein kaun bolega
suKHanwari mein nazar aaegi tabhi raunaq
tu KHun-e-dil mein agar ungliyan Dubo lega
bikhar rahe hain sar-e-bazm qahqahe jis ke
guhar wo ashk ke tanhaiyon mein ro lega
rawan hayat hai KHwabon ki shah-rahon par
abhi sukun se 'bebak' kaise so lega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.