wo pahli si chashm-e-murawwat nahin hai
wo pahli si chashm-e-murawwat nahin hai
Faheemuddin Ahmad Faheem
MORE BYFaheemuddin Ahmad Faheem
vo pahlī sī chashm-e-muravvat nahīñ hai
vo aglī sī mujh par ināyat nahīñ hai
ulajhne kī ġhairoñ se aadat nahīñ hai
karūñ kyā mirī aisī fitrat nahīñ hai
jo tujh meñ bhalā.ī hai vo bhī kahūñgā
mujhe tujh se nāseh adāvat nahīñ hai
jafā-o-sitam zulm sab kuchh haiñ tum meñ
agar hai to ik ādamiyyat nahīñ hai
buto va.ada kar lo abhī ḳhauf kyā hai
abhī aatī jaatī qayāmat nahīñ hai
satāte haiñ ye but kuchh is tarah jaise
kabhī aane vaalī qayāmat nahīñ hai
tire hijr meñ sar pe kyā kuchh nahīñ hai
musībat nahīñ hai ki aafat nahīñ hai
hamīñ ne to dil saikḌoñ ḳhuuñ kiye haiñ
hamīñ ko to is par nadāmat nahīñ hai
mujhe hijr kā sadma kis shab nahīñ hai
mire sar pe kis roz aafat nahīñ hai
koī ḳhūb-rū kyā satā.egā mujh ko
'fahīm' ab vo apnī tabī.at nahīñ hai
'fahīm' aise zālim ko de baiThe dil tum
kaho kyā hai gar ye himāqat nahīñ hai
wo pahli si chashm-e-murawwat nahin hai
wo agli si mujh par inayat nahin hai
ulajhne ki ghairon se aadat nahin hai
karun kya meri aisi fitrat nahin hai
jo tujh mein bhalai hai wo bhi kahunga
mujhe tujh se naseh adawat nahin hai
jafa-o-sitam zulm sab kuchh hain tum mein
agar hai to ek aadamiyyat nahin hai
buto wada kar lo abhi KHauf kya hai
abhi aati jati qayamat nahin hai
satate hain ye but kuchh is tarah jaise
kabhi aane wali qayamat nahin hai
tere hijr mein sar pe kya kuchh nahin hai
musibat nahin hai ki aafat nahin hai
hamin ne to dil saikDon KHun kiye hain
hamin ko to is par nadamat nahin hai
mujhe hijr ka sadma kis shab nahin hai
mere sar pe kis roz aafat nahin hai
koi KHub-ru kya sataega mujh ko
'fahim' ab wo apni tabiat nahin hai
'fahim' aise zalim ko de baiThe dil tum
kaho kya hai gar ye himaqat nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.